
Naksha banwane ka process
Pehle plot ka size aur zaroorat par baatcheet hoti hai. Iske baad ek 2D layout banta hai jisme aap badlav karwa sakte hain. Phir 3D elevation aur structural drawing banti hai, aur naksha pass ke liye drawing taiyar hoti hai.
- Plot ka naap aur site visit
- Zaroorat aur budget par baatcheet
- 2D layout aur badlav
- 3D elevation aur structural drawing
- Naksha pass ke liye documents
Plot size ke hisaab se naksha
Chhote plot jaise 20x40 par 2BHK, aur 30x40 ya 30x50 par 3BHK ghar parking ke saath ban sakta hai. Bade plot jaise 40x60 par khula layout aur aangan ki jagah bhi mil jaati hai. Humari house plans pages par alag-alag size ke layout, built-up area aur cost ka mota hisaab diya hua hai.
Vastu ki zaroorat ho to naksha banwate waqt hi bata dein. Plot ki disha ke karan sab kuch vastu ke hisaab se ho paana mumkin nahi hota, aur tab sabse zaroori cheezon ko tarjeeh di jaati hai.
Zaroori documents
Naksha ke liye aam taur par zameen ke kagzaat, pehchaan ka saboot aur plot ka naap chahiye. Naksha pass ke liye sthaniya niyam ke hisaab se aur kagzaat lag sakte hain. Naksha pass ki fees aur samay nagar nikay ke niyam par depend karte hain.
Aksar Pooche Jaane Wale Sawaal
Ghar ka naksha banwane mein kya chahiye?
Plot ka naap, zameen ke kagzaat aur apni zaroorat. Naksha pass ke liye sthaniya niyam ke hisaab se aur kagzaat lag sakte hain.
30x40 plot par kitna ghar banta hai?
Ek floor par lagbhag 900 sq.ft. aur G+1 mein lagbhag 1,800 sq.ft. Ye mota hisaab hai, approved naksha se exact area tay hota hai.
Naksha ke liye kise call karein?
91536 43006 par call kijiye, pehla consultation free hai.
